Kisi bhi sim ko port kaise kare

Hello dosto swagat hai apka hamare iss nye topic ke blog pe aaj hama apko batayege ki kaise aap kisi bhi company ki sim ko kaise port kar sakte hai chahe wo BSNL,Airtel,VI ya Jio ya phir aap company wahi rakhna chahte hai lekin state change karna chahte (BSNL up to BSNL mp) ho wo bhi ho jayga bahut aasani se

sim port kaise karen

Aur ha apko isme ye jaroori nhi ki jiske adhaar se sim chalu hui hai usii ke adhaar se port karo

port karne ke liye kisi ka abhi adhaar lag sakta hai bas wah 18+ hona chahiye phir nai company me port hui sim dusre vyakti ke naam ho jayegi

to chaliye port karne ke steps jan lete hai

Sim port karne ke liye kya kare

UPC code
UPC code message
  1. sabse pahle apni purani sim se SmS kare 1900 par PORT<space>your 10 digit mobile no, for example –PORT 6848238428 ye karne ke bad apke no ka UPC code generate ho jayega
  2. apke pass ek sms ayga jisme Apka UPC code hoga , ab apko apne nazdeeki retailer yani mobile shop pe jana hai aur ye batana hai ki sim ABC ko sim XYZ me port karana hai ( ABC aur XYZ example ke liye company ke naam hai )apne sath me orignal adhaar card le jana na bhoole
  3. apna UPC code Moblie shop wale yani retailer ke sath share kare
  4. agar aap bas company chang kar rhe ho aur state same hai to apki new sim 24-72 hours tak chalu ho jati hai, aur agar aap state change kar rhe ho to 4-6 days lag jate hai
  5. purani sim band hone ke bad new sim ko apne phone me dale
  6. internet speed jyada ke liye new sim ko sim 1 ke slote me dale
  7. Sim chalu hone ke bad sim activat karne ke liye activation number dial kare jo apka mobile shop wala apko bata dega aur apke sim ke pack me bhi daala hoga

Leave a Comment