Airtel Idea ya jio ko BSNL me port kaise kare

Hello dosto kya apke liye ek nya blog topic laya hu ki airtel idea ya jio ko bsnl me port kaise kare sab log alag alag prakar ke sim card use karte honge jinme plan ke hisab se alag alag suvidhaye aur speed milti hai kuch jyada saste hote hai aur kuch jyada mehnge

aap log bhi kai prakar ki sim card use kar rhe honge lekin kabhi aisi bhi condition aa jati ki wo sim card number koi use nhi hota lekin wah number kai jagah registered hone ki wajah se uss number ko chalu rakhna padta hai par sim card jaise airtel VI Idea vodafone Jio jaise company ke expensive plan ki wajah se mushkil hoti hai

lekin agar ham BSNL ke plan dekhe to kafee saste hote hai aur unka asar hamari pocket me nhi karega

to dosto mai apko iske liye apko yahi kahunga ki aap apni Airtel Idea Vodafone VI Jio jaise company ko BSNL me port kar le apki sari pareshani hi kahatam ho jayegi

lekin BSNL me port kaise karte hai ye kaise pta kare

to dosto main huin na mai apko simple steps me apko bataunga ki kaise apko karna hai

sabse pehle apko UPC code generate karna hai apne purane sim card se

Airtel,Idea ya jio ko BSNL me port kaise kare
UPC code for Port

sabse pahle apni purani sim se SmS kare 1900 par PORT<space>your 10 digit mobile no, for example –PORT 6848238428 ye karne ke bad apke no ka UPC code generate ho jayega


apke pass ek sms ayga jisme Apka UPC code hoga , ab apko apne nazdeeki retailer yani mobile shop pe jana hai aur ye batana hai ki sim ABC ko sim XYZ me port karana hai ( ABC aur XYZ example ke liye company ke naam hai )apne sath me orignal adhaar card le jana na bhoole


apna UPC code Moblie shop wale yani retailer ke sath share kare


agar aap bas company chang kar rhe ho aur state same hai to apki new sim 24-72 hours tak chalu ho jati hai,
purani sim band hone ke bad new BSNL sim ko apne phone me dale


internet speed jyada ke liye new BSNL sim ko sim 1 ke slote me dale


Sim chalu hone ke bad sim activat karne ke liye activation number dial kare 123 ivr menu me sahi option chune aur apka BSNL sim card 5min me chalu ho jayega

apko ek mahine ka free pack bhi milega Unlimited internet and calling

Agar UPC code generate nhi ho rha to kya kare

dosto generaly UPC code generate aasani se ho jata hai lekin kabhi kabar choti mistake ki wajah se nhi ho pata

apni plan validity check kare

apne sms pack validity aur main balance check kare kyuki UPC code generate karne me charge lagta hai

Network check kare, iske bad UPC code generate ho jayega

hamari ye post bhi try kare – Kisi bhi sim ko port kaise kare

Leave a Comment