Dosto swagat hai apka hamare iss nye blog ki post me jisme ham apko batayege ki kaise ham aadhar card download kare chahe wo aadhar ho jisme enrollment number se download kia jata hai

Dosto Aadhar card ek Id proof ki tarah use hota hai aur ye ek kafee importent document hai Jab aap new sim card ke liye jate hai tab apko aadhar card lagta hai aur bhi cheeze hai jime sirf aadhar card hi use hota hai Id proof ki tarah
Lekin kabhi kabar hamare Aadhar card jab kho jata hai to kafee dikkat ho jati hai ya jab ham nye aadhar card ki request dal dete hai aur complete hone ka message aa jata hai Aadhar registered mobile no per to usme enrollment number diya rehta hai jiski maddad se new aadhar card ko download karte hai
To dosto Sabse pehle apko Apne Smart phone me ye mAadhar ka app download kar lena hai
Agar aap Iphone user hai to apko App store se dowload karna hai aur agar aap Android user hai to apko playstore se downlod karna hai
Purana Aadhar dowload kaise kare
To dosto purana aadhar card ki softcopy download karne ke liye neeche diye gaye step follow kare

apna mAadhar ka aap open kare jisme apko iss tarah ki screen show hogi to usme Download aadhar pe click kare

Regular Aadhar select kare

Yha par Aadhar number select kare

yha par apna aadhar number dale aur capcha dalkar request OTP me click kare

apke aadhar registered mobile number pe OTP aaya hoga wo apko yaha dalna hai

Yha apko bataya gaya hai ki jo apka PDF hai uska password kya hai apko apne naam ke shuruwat ke 4 letters type karne hai capital letters me aur apni year of birth yani jis varsh apka janm hua wo dalna hai
yad rkhe ki jo name aur year of birth hai wo apko jo aadhar card ke liye detail di thi wo daliye ga
for example- mera naam Rohan Verma hai aur mai 1999 me paida hua tha iska password banega ROHA1999
Naye download kare enrollment no se
Dosto sabse pehle apko mAadhar app open kar lena hai

Download aadhar me click kare

Yha par regular aadhar select kare


Yaha par apna enrollment id number dale aur jo apka date aur time hai wo dale (ye sari detail apke slip me hogi jo apko aadhar center wale ne di hogi)

yha par apke aadhar registered mobile number par OTP aaya hoga wo yha enter kare

Yha apko bataya gaya hai ki jo apka PDF hai uska password kya hai apko apne naam ke shuruwat ke 4 letters type karne hai capital letters me aur apni year of birth yani jis varsh apka janm hua wo dalna hai
yad rkhe ki jo name aur year of birth hai wo apko jo aadhar card ke liye detail di thi wo daliye ga
for example- mera naam Rohan Verma hai aur mai 1999 me paida hua tha iska password banega ROHA1999
to dosto agar apko hamari ye post pasand aai to ye post bhi pade